#करो न (dos), करो ना (donts) - Team Naqsh
A few members from Team Naqsh appealing #करो न, करो ना..
Covid-19 ke karan complete lockdown ki surat mein aaj kal morning walk ke liye bahar jana to possible hai nahin. Lihaza aaj kal ghar ki terrace hi morning walk ke liye ideal platform provide kar apne farz ki adaygi kar rahi hai. Sach kaha jaye to yeh option bhi bura nahin hai. Zindagi ko samajhne ka ek naya nazariya isi terrace par develop ho raha hai. Aaj hi subah ki baat hai. Udhar purab mein suraj abhi uga bhi na tha aur idhar uski aamad ke intzar mein, qudrat ki khoobsurti ko niharte huye terrace par meri chehalqadmi shuru hi huyi thi ki tabhi ek aise manzar ne mujhe apna chashmdeed gawah bana diya, jiski gawahi aap ki adalat mein dene se khud ko rok pana mumkin na hua.
Terrace ke akhiri sire par, kamre mein lage air conditioner ka fan rakha hua hai. Chhat ke surface se zara unchayi par ek stand par laga hone ki wajah se uske neeche thoda sa space bacha hua hai. Maine chehalqadmi shuru hi ki thi ki tabhi terrace par ek billi kahin se dabe panv ayi aur chupke se stand par lage us fan ke neeche kuchh is andaz se chhup kar baith gayi, goya kisi ke sath hide & seek khel rahi ho. Uski is ajab si ada ne mere qadam thithka diye aur hairat ankhon mein liye jab tak yeh samajhun ki ye billi kya waqayi kisi ke sath luka-chhipi khel rahi hai tab tak bijli ki si phurti se billi stand ke neeche se bahar nikli aur stand se koi ek foot ki doori par bani huyi ek metre unchi deewar ki munder par chadh gayi. Phir palak jhapakne se bhi pehle wapas kood kar terrace par a gayi. Magar yeh kya? Munder par chadhte waqt wo akeli thi aur second ke 100ve hisse mein wapas palti to apne jabde mein dabocha hua ek jangli kabutar bhi sath layi thi. Ek minute ke liye dimagh ne kaam karna band kar diya. Jo kabutar mujhe nahin dikha, jis kabutar ko apni maut roopi is billi ki bhanak tak na lagi, us kabutar ke hone ka sahi-sahi andaza is billi ne kaise laga liya? Isse pehle ki mamla samajh kar kuchh bhi react kar paun, billi apne shikar ko danton mein dabaye, vijayi mudra mein chalti huyi meri ankhon ke samne se guzar gayi. Meri nazar lachar kabutar par bhi padi. Use dekh ke kehna mushkil tha ki wo zinda hai. Ekdum shant, na chehre par kisi takleef ka ehsas, na hi khud ko apne shikari ke shikanje se azad karane ki koshish mein koi chhatpatahat ya harkat. Yani, shikari ne apne shikar par ghaat laga kar is tarah waar kiya tha ki shikar hone wale ko sambhalne ka mauqa tak na mila aur kab uski rooh uske jism se parwaz kar gayi, use khud ko bhi pata na chala. Maine khud ko badi malamat bheji ki agar main zara si alert hoti aur hamlawar ke irade bhanp leti to shayad mazloom ki jaan bach jati. Magar ye isliye na ho saka kyonki us waqt mere andar awareness ki kami thi. Theek usi tarah jaise Covid-19 wale mamle mein poori human race mein lack of awareness dekhi gayi. Shikari Coronavirus ne ghaat laga kar insan par hamla kiya aur sambhalne ya samajhne se pehle hazaron-lakhon begunahon ko apna niwala bana liya. Halanki baad mein lockdown aur social distancing naam ki lakeer ko peet kar halat ko qabu karne ki koshishein jari hain, magar kabhi bharpayi na ho sakne wala ek nuqsan to ho hi chuka hai. Just because of due to awareness lack.
Aaj subah billi wala hadsa ho ya December 2019 se shuru hua Corona ka rona; lack of awareness ki bina par ek kabutar ki jaan gayi ho ya globally millions of innocent human beings ki; in haadson ne sabaq ye hi sikhaya ki har waqt na sirf khud aware & alert raho balki apne aas-paas, apne doston, rishtedaron, colleagues, neighbours, yahan tak ki anjan logon ko bhi ane wale khatron se agah karte raho. Samaj ke liye apni duty nibhane ka ye bhi ek tareeqa hai. Aur bas Naqsh ke awareness campaign #करो न (do), करो ना (donts).. ke liye aaj Naqsh ki poori team ke behalf par, Naqsh ke kuchh members & volunteers bhi sari human race se appeal kar rahe hain ki Novel Coronavirus Covid-19 se bachne ke liye, karne aur na karne layaq har zaruri upay #karo na (do), karo naa (donts)..
*Team Naqsh : [Team Naqsh is always at your services. With 12 members in General Body and a few volunteers Naqsh is blessed to have such a dedicated team who works all over India as per need. In current Corona-Crisis Naqsh is helping needy with transferring money from our own pockets. Though we have identified many more in need but we have no resources to help them all. Naqsh appeals you to help us by funding our account to help the deserved ones in the hour of this pandemic].
Thank you all.
Twitter - https://twitter.com/Naqsh17/status/1256169283039555585?s=08
YouTube - https://youtu.be/Z5HcDTk4NbQ
fb - https://m.facebook.com/story.php?story_fbid=907939489653220&id=100013115318793
**To know NAQSH more, connect with us on social media.
--------@---------------@-------------@----------@---------
**To know NAQSH more, connect with us on social media.
Subscribe our YouTube channel - https://www.youtube.com/channel/UCfDraAV_yCrphpKlRNbCZ9Q
Like our facebook page - https://www.facebook.com/naqsh.naqsh.73/
Follow us on twitter - https://twitter.com/Naqsh17?s=08
Write on our blog - https://draft.blogger.com/u/1/blogger.g?blogID=304274514506471721#allposts/postNum=0
Visit our website - www.naqsh.org.in