#करो न (dos), करो ना (donts) - Rashida Baqi Haya
Rashida Baqi Haya : Urdu Poet, Writer, Social Worker
Coronavirus Covid-19 ki wajah se jis tarah se sari duniya ki economy charmara gayi hai, aisi haalat shayad hi itne bade paimane par is se pehle kabhi huyi ho. Economy ke hawale se likhit dastavez ki baat karein to be_sakhta America ki mash_hoor bi-weekly business magazine "Forbes" ka naam zehan mein ata hai. Forbes finance, industry, investing aur marketing ke alawa technology, communication, science, politics aur law jaise topics par bhi original articles publish karti hai. Finance aur economy par apni qabil-e-yaqeen lists aur rankings shaya karne ke liye bhi ye magazine jani jati hai. Sabse ameer Americans, top alami companies, sabse taqatwar khawateen ya duniya ke sabse raees yani millionaires/billionaires ki list aur ranking in mein kafi aham hai.
Isi Forbes magazine ke guzishta edition mein ek report chhapi thi ki Covid-19 kee wajah se sara alam jis lockdown kee qaid se guzar raha hai, usne economy par aisa bura asar dala hai ki duniya ke 51% ameeron ki daulat kam huyi hai. Sath hi is lockdown ne poori duniya se 226 arabpati kam kar diye hain. Padhte hi ek jhatka lagta hai kyonki zahiri taur par ye badi hi tashweesh_naak baat nazar ati hai ki agar sarmayadaar na rahe, paisa hi khatm ho gaya to duniya chalegi kaise? Magar ek lamhe ke liye ankhein band karke dayanatdari se socha jaye to yaqeen maniye ye itne fikr ki bhi baat nahin.
Safah-e-duniya se agar ameer, raees, seth, sahukar, sarmayadaar, jagirdaar, industrialists, bankers, science-daan, siyasat-daan, shayar, adeeb, anchors, artists, architect, afsana-nigar sab ke sab khatm ho jayein to duniya qatayi nahin rukegi. Yun hi chalti rahegi. Lekin agar iske bar-aks Covid-19 ya kisi bhi waba ke sabab raton-raat safayi karne wale, kuda uthane wale, baal kaatne wale, roti pakane wale, juta ganthne wale, kapde dhone wale, khana pakane wale, imaratein banane wale, mazduri karne wale, bijli-pani ka kaam karne wale, gadi chalane wale, gharelu mulazim, doctors aur kisan khatm ho jayein to duniya 10-15 din ke andar-andar puri tarah se seize ho jayegi. Kisan zinda rahein, zindagi rawan rahegi. Jagirdaar sare maujood rahein, kisan khatm ho jayein to qahat pad jayenge. Insan-insan ko kha jayega. To aham kaun hua? Ghareeb ya ghareeb ki wajah se be-shumar paisa kamane wala ameer?Shayad ye hi wo pal hai jab is lockdown se hamein seekhna hoga ki aaj waqt hai unhein respect dene ka jinhein hum is qabil nahin samajhte. Jinki sadiyon se be-izzati hoti ayi hai, bhookh jinki khuraak hai, faqa jinka naseeb hai, wo kal bhi aise hi the, aaj bhi aise hi hain. Izzat kam huyi hai un millionaires/billionaires ki jinki izzat, jinki pehchan paise tha aur paise hi hai. Aaj wo bhi paisa ganwa kar in ghareebon ki saf mein khade dikh rahe hain. Kahin ye in ghareebon ki sadiyon ki bad_dua ka asar to nahin? Ho sake to ab bhi in ghareebon ko barabari ka darja de kar paise wale nahin balki asal daulatmand ban jayein. Aaj kisi ki 2 waqt ki roti ka intzam kar paise ke bajay thodi si dua kama lein. Warna kisi aur bad_dua ke evaz ek aur lockdown, ek aur economic breakdown ka intzar karein.
Zaruratmandon ki madad ka ye hi jazba, ye hi fikr Hindostan ki mash_hoor-o-ma'roof shayra aur social worker Rashida Baqi Haya ke dil mein bhi hai. Jise unhone Naqsh ke campaign #karo na (dos), karo naa (donts).. ki maarfat samaj tak pohanchaya hai.
Thank you Rashida Baqi Haya Sahiba.
*Rashida Baqi Haya - [Rashida Baqi Haya is a famous Urdu poet, writer and social worker of national repute. She belongs to a royal Pathan family of Rampur, Uttar Pradesh. Her father Maulana Abdul Baqi was a freedom fighter, a well known journalist of his time and worked as the Chief Political Advisor of two Prime Ministers of India i.e. Pandit Jawaharlal Nehru & Mrs. Indira Gandhi. Her father left for his heavenly abode when she was merely four years old. Her mother Shahida Baqi Nikhat was a famous poet of persian and Urdu. Rashida Baqi Haya did her schooling from Frank Anthony public School & Cambridge Boarding School, Dehradun. She participated in her inaugural mushaira at the age of just 13. And since then her journey is still continued].
Twitter - https://twitter.com/Naqsh17/status/1258787656067977218?s=08
YouTube - https://youtu.be/3LJKMNbp1rs
fb - https://www.facebook.com/100013115318793/posts/913151659132003/
https://m.facebook.com/story.php?story_fbid=913149369132232&id=100013115318793
--------@---------------@-------------@----------@---------
**To know NAQSH more, connect with us on social media.
Subscribe our YouTube channel - https://www.youtube.com/channel/UCfDraAV_yCrphpKlRNbCZ9Q
Like our facebook page - https://www.facebook.com/naqsh.naqsh.73/
Follow us on twitter - https://twitter.com/Naqsh17?s=08
Write on our blog - https://draft.blogger.com/u/1/blogger.g?blogID=304274514506471721#allposts/postNum=0
Visit our website - www.naqsh.org.in
Nice to hear and read about Rashida Baqi Haya.
ReplyDelete